Shayari

Add Shayari
इतने तो आप गरीब नही है

इतने तो आप गरीब नही है

कोई भी आपके करीब नही है,

हजारो मे है आपकी ये सुरत

और कोई आपका रकीब नही है.

Shayar Name: Lucky
Date:  Tue 22 Sep 2009
masoom si muhabbat

masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai..
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai..

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai
awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai,
kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai..

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko
ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai..

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai ,
phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai..

Shayar Name: Vinod
Date:  Tue 22 Sep 2009
pyaar agar bhagawaan se ho

pyaar agar bhagawaan se ho to
poojaa ban jaataa hai,
pyaar agar watan se ho to
Imaan ban jaataa hai,
pyaar agar maaM se ho to
mamataa ban jaataa hai,
pyaar agar pitaa se ho to
farz ban jaataa hai,
pyaar agar daulat se ho to
fikr ban jaataa hai,
pyaar agar dost se ho to
misaal ban jaataa hai,
pyaar agar beevee se ho to
zindagee ban jaataa hai,
pyaar agar taaleem se ho to
gayaan ban jaataa hai.

Shayar Name: Wasim
Date:  Tue 22 Sep 2009
kabhi waqt mile to aa jao...

Kabhi Waqt Mile To A Jao…

Kabhi waqt mile to a jao
ham jheel kinare ja beithein
in sabz ruton k daman men
hum pyar ki khusboo mehkaa'en
in bikhray sabz nazaaron ko
hum ankhon men tasveer karen
patthar pe girtay paani ko
hum khuwabon se tabeer karen
iss waqt k doobtay suraj ko
hum chahat ki jageer karen
phir apney pyar k jadoo se
hum lamhon ko zanjeer karen
Kabhi Waqt Mile To A Jao !

Shayar Name: Rakesh
Date:  Tue 22 Sep 2009
Sharam aayi humen

Sharam aayi humen is shiddat se,
Ke hum nazre jhuka baithe.
Jab wo hame dekhne ke khatir,
Hamara chilman utha baithe.

Jhuki nazren larazte lab,
Dhadakta dil aur mohabbat.
Wo hum ko dekhkar hain,
Apna dil ghuma baithe.

Haseen si thi suhani sham,
Aur dilaon me muhabbat,
Hum ek doosre se kar,
Wadaa-e-wafa baithe.

Bhul apni sharam-o-haya,
Hum kareeb aa baithe.
Us hansi raat ko hum,
Yaadgaar bana baithe.

Shayar Name: Ramveer
Date:  Tue 22 Sep 2009
Mere bewafa sanam …

Hamne to isq ka ijhar nahi kiya
Iss dil ko itna bekrar nahi kiya,
Bas aankhon main tere sapne sajaye rakhe
Kabhi apne honthon se ijhar nahi kiya.

Shayar Name: AJAY
Date:  Tue 22 Sep 2009
Taare aasman me chamkte hain

Taare aasman me chamkte hain,
Badal itni dur hai fir bhi barste hain
Hum bhi kitne nadan hain,
Aap dil me rehte hain,
Aur hum aapse milne ko tarste hain.

Shayar Name: Ramesh
Date:  Tue 22 Sep 2009
Iss dil ko itna …

Hamne to isq ka ijhar nahi kiya
Iss dil ko itna bekrar nahi kiya,
Bas aankhon main tere sapne sajaye rakhe
Kabhi apne honthon se ijhar nahi kiya.

Shayar Name: AJAY
Date:  Tue 22 Sep 2009
Dil se teri yaad na jaye

Dil se teri yaad na jaye to main kya karu,
Nazar tasveer mein tu hi aaye to main kya karu,
Lane ko to le aau tujhe khwaabon mein,
Par neend hi na aaye to main kya karu.

Shayar Name: Sakib Numani
Date:  Tue 22 Sep 2009
Chand ko kisi ne…

Phoolon ko kisi ne hanste dekha hai
Chand ko kisi ne muskurate dekha hai,
Dekhe koi hamari najar se
Hamne to muskan ko muskurate hue dekha hai.

Shayar Name: AJAY
Date:  Tue 22 Sep 2009
[First Page] [Prev] 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 [Next] [Last Page]